Thursday, September 14, 2017

Pardes ~ A poem dedicated to NRI's

Samundar se aage, kshitij ke pehle, door kahin ek desh hai
Lagta  hai mere desh sa hi, lekin wo pardes hai.

Is pardes mein bhi hai mere desh si mitti, mere desh sa paani.
Par is mitti mein nahi hai mere desh ki khusbu suhaani.

Is pardes mein bhi hai mere desh si hawa, wahin si zameein
Sabkuch hai yahaan, par na jaane kyu lagti hai kuch kami.

Samundar se aage, kshitij ke pehle, door kahin ek desh hai
Lagta  hai woh mere desh sa hi, lekin wo pardes hai.

Is pardes mein hai unchi imaratein, aur bade makaan.
Par nahi milta yahaan choti choti khushiyon ka mukaam.

Is  pardes mein hai buland sadke, na mere desh si kacchhi.
Par un sadko pe koi bhula bisra yaar mil jaye, itni bhi nahi wo acchhi.

Samundar se aage, kshitij ke pehle, door kahin ek desh hai
Lagta  hai woh mere desh sa hi, lekin wo pardes hai.

Pardes mein na hai mere desh ke masle, mere desh ke jhamele,
Milti hai yahaan saari sahuliyatein, bas nahi milte apno ke mele.

Na hai yahaan apno ki basti, na bheed mein dikhte apno ke chehre.
Sabkuch hai is watan-e-bahaar mein, bas rishte nahi woh gehre.

Samundar se aage, kshitij ke pehle, door kahin ek desh hai
Lagta  hai woh mere desh sa hi, lekin wo pardes hai.

Is pardes mein bhi hai mere desh si bandagi, mere desh sa asmaan.
Par na is asmaan mein gunjte mandir ke ghant, na yahaan ki hawa mein ghulti azaan.

Pardes ka tassavur hai itna sundar, maano jaise koi sundar sapna.
Sabkuch diya hai is desh ne mujhe, par na jaane kyu dil ko lagta nahi yeh apna.

Samundar se aage, kshitij ke pehle, door kahin ek desh hai
Lagta  hai woh mere desh sa hi, lekin wo pardes hai…..

Kai baar dil chahta hai apni zameen, apne watan laut jau.
Yeh dil to maan jaata hai, par apne zehan ko kaise manau.

Maana naimetain hazzar mili hai mujhe is pardes mein
Lekin meri rooh ka ek hissa, rahega hamesha mere desh mein.

Wednesday, September 13, 2017

Ab khudse ladna ~ A poem about an aged man accepting himself

Title: Khudse ladna chodh diya maine💐

Apne haathon ki lakiro ko padhna chodh diya maine,
Haan, ab khudse ladna chodh diya maine!

Subah uthke sair pe hai jaana,
Sochte sochte beet gaya ek zamaana,
Apni adaaton ko badalne ka khwaab tod diya maine,
Haan, ab khudse ladna chodh diya maine!

Har subah le aati hai nayi khabron ka khazana,
Roz yeh sochna, khabron pe itna waqt nahi bitaana,
Dil ki yeh kashmakash se rishta tod diya maine,
Haan, ab khudse ladna chodh diya maine!

Phir dil chahe aaj kuch meetha hai khaana,
Phir dil dhundta hai roz ek naya bahaana,
Parhej hogi kalse, ye dilasa tod diya maine,
Haan, ab khudse ladna chodh diya maine!

Ab nahi ho pata bematalb ke rishton ko nibhana,
Jaha dil na jude, waha waqt kyu gavana,
Kuch bhulein bisre rishton se muh mod liya maine,
Haan, ab khudse ladna chodh diya maine!

Umar bhar saare rishton ko sambhala,
Khudke liye nahi, baki sabke liye waqt nikaala,
Zindagi ke is mod pe ab, khud se naata jod liya maine,
Haan, ab khudse ladna chodh diya maine!