Wednesday, September 13, 2017

Ab khudse ladna ~ A poem about an aged man accepting himself

Title: Khudse ladna chodh diya maine💐

Apne haathon ki lakiro ko padhna chodh diya maine,
Haan, ab khudse ladna chodh diya maine!

Subah uthke sair pe hai jaana,
Sochte sochte beet gaya ek zamaana,
Apni adaaton ko badalne ka khwaab tod diya maine,
Haan, ab khudse ladna chodh diya maine!

Har subah le aati hai nayi khabron ka khazana,
Roz yeh sochna, khabron pe itna waqt nahi bitaana,
Dil ki yeh kashmakash se rishta tod diya maine,
Haan, ab khudse ladna chodh diya maine!

Phir dil chahe aaj kuch meetha hai khaana,
Phir dil dhundta hai roz ek naya bahaana,
Parhej hogi kalse, ye dilasa tod diya maine,
Haan, ab khudse ladna chodh diya maine!

Ab nahi ho pata bematalb ke rishton ko nibhana,
Jaha dil na jude, waha waqt kyu gavana,
Kuch bhulein bisre rishton se muh mod liya maine,
Haan, ab khudse ladna chodh diya maine!

Umar bhar saare rishton ko sambhala,
Khudke liye nahi, baki sabke liye waqt nikaala,
Zindagi ke is mod pe ab, khud se naata jod liya maine,
Haan, ab khudse ladna chodh diya maine!

No comments:

Post a Comment